Saturday 7 January 2012

Chalo tum chor do mujh ko

"*"
Chalo tum chor do mujh ko
Main wapis lot jata hoon


Tumhain manzil mubarak ho
Naya sathi mubarak ho


Magar phir aey meray humdum.

mujhe itna to batla do ?
K wapis kis tarf jaon?


Kahan se sath laaye thay
Mujhe itna to samjha do


Ager aisa nahi mumkin

To mujh ko is tarah torro
 K main yaksar bikhar jaon

Bhatakne se to behtar hai
Tumharay pass marr jaon
"*"

No comments:

Post a Comment