Friday 13 January 2012

Mujhay na dhoond

Mujhe na dhoond zamin-o-zamann ki gardish me 


Tereay dil me nhi hoon to phir kaheen b nhi .

Monday 9 January 2012

Vo shaks yaad atta ha






"*"
Ye uddass raaten meri tanhayi ko aisa urooj bakhshti hain


K mujhe ik wohi ,phir wohi ,bas wohi shaks yadd aata ha"*"









 

Hum mar jayen gay aik din dekh lena

"*"
Hum mar jayen gay aik din dekh lena 


Ro do gay buhat tum us din dekh lena


Duniya me hain to parwa nahi hamari


Chorr jayen gay tumhe aik din dekh lena


Ansoo chupatey phiro gay sab se tum


Itna hum yaad aayen gay dekh lena


Kuch yaddain meethi c tum ko bohat satayen gi


Tum khud ko na rok pao gay dekh lena


Mana k kuch nhi hain ajj hum tumhare liye


Kal tumhare liye aik yadd ban jayn gy dekh lena"*"

Tum nazar nahi atte

"*"
Tum be he kaha tha k aankh bhar k dekh lya karo mujhe "Humsafar"


Ab ankhen to bhar aati hn par tum nazar nahi atte "*"

hum toot gaye un se pyar karte karte



 "*"
Thak gaye hum un ka intezar karty karty


Roey hazaar barr khud se takraar karty karty


2 lafz na nikly un ki zuban se 


or hum toot gaye un se pyar karte karte"*"

Hum se ab roya nahi jata






Taras atta hai mujhe apni masoom c palkon per


Jab wo Bheeg k Kehti hian k hum se ab roya nahi jata.








Saturday 7 January 2012

Chalo tum chor do mujh ko

"*"
Chalo tum chor do mujh ko
Main wapis lot jata hoon


Tumhain manzil mubarak ho
Naya sathi mubarak ho


Magar phir aey meray humdum.

mujhe itna to batla do ?
K wapis kis tarf jaon?


Kahan se sath laaye thay
Mujhe itna to samjha do


Ager aisa nahi mumkin

To mujh ko is tarah torro
 K main yaksar bikhar jaon

Bhatakne se to behtar hai
Tumharay pass marr jaon
"*"

Hum pyar tumhe se karte hn

"*"
Sham ki is udasi main
Hum yad tumhi ko karte hain


Kabi roty hian kabi hanste hain
Hum khud se batein karte hain


Chand k dhundly ayine main
Talash tumhhain hum karte hain


Dhalte suraj ki kirno se
Hum teri baten karte hain


Ye dunia wale kuch b bolein 
Hum pyar tumhe se karte hn 
"*"