Monday 20 February 2012

Kabhi yaad kar lia karo is banda-e- nachiz ko

Kabhi yaad kar lia karo is
banda-e- nachiz ko

Chanda

Ye Shakhs bura hi sahi magar abhi zinda to hai.

Friday 17 February 2012

Bohat masoom hasrat hai, btao kya kiya jae ?

"*"
Bohat masoom hasrat hai, btao kya kiya jae ?


Mujhy tum se mohabbat hai, btao kya kiya jae ?


Jo suraj doobta he to, dil bhi apna doob jata hai


Ajab si apni haalat hai, btao kya kiya jae ?


Tum se milne ki chahat, bhala meri kab thi


Dil-e-nadaan ki hasrat hai btao kya kiya jae?"*"
"*"
Darta hoon kaheen mujhay pagal hi naa kar dalein


Andheri ratt, aadha chand, safar-e-tanhai aur ye khamoshi tumhari "*"

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil

"*"
Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil , na bichrne ka tu malaal kr

Tujhe de gi jeene ka hosla,meri yaad rakh le sambhal kr


Ye bhi kya k ek hi shakhs ko kabhi sochna,kabhi bhoolna

Jo na bujh ske wo diya jala, jo na ho sake wo kamal kr


Ghum-e-arzu meri justju, mein simat k aa gei ru-buru

Tu bichhar raha hai to soch le, tere hath hai meri zindgi


Tujhe rokna meri maut hai, meri be'basi ka khayal kr"*"

Friday 13 January 2012

Mujhay na dhoond

Mujhe na dhoond zamin-o-zamann ki gardish me 


Tereay dil me nhi hoon to phir kaheen b nhi .

Monday 9 January 2012

Vo shaks yaad atta ha






"*"
Ye uddass raaten meri tanhayi ko aisa urooj bakhshti hain


K mujhe ik wohi ,phir wohi ,bas wohi shaks yadd aata ha"*"









 

Hum mar jayen gay aik din dekh lena

"*"
Hum mar jayen gay aik din dekh lena 


Ro do gay buhat tum us din dekh lena


Duniya me hain to parwa nahi hamari


Chorr jayen gay tumhe aik din dekh lena


Ansoo chupatey phiro gay sab se tum


Itna hum yaad aayen gay dekh lena


Kuch yaddain meethi c tum ko bohat satayen gi


Tum khud ko na rok pao gay dekh lena


Mana k kuch nhi hain ajj hum tumhare liye


Kal tumhare liye aik yadd ban jayn gy dekh lena"*"